Wednesday 4 December 2013

Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic

Love Poem Biography

Source:- Google.Com.Pk
Tere ishq ke intaha chahata hun
meri sadagi dekh kya chahata hun
sitam ho ki ho vada-e-behijabi
koi baat sabr-azama chahata hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
ki main aap ka samana chahata hun
koi dam ka mehaman hun ae ahal-e-mahafil
chirag-e-sahar hun, bujha chahata hun
bhari bazm mein raz ke baat kah di
bada be-adab hun, saza chahata hun.....

mana-e-dasht navardi koi tadabir nahi
ek chakkar hai mere paon mein zanjir nahi
hasarat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jadah-e-rah-e-vafa juz dam-e-shamshir nahi
ranj-e-na-ummidi-e-javed gavara rahiyo
khush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahi
sar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jaye
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqarir nahi
jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi de
koi taqasir ba-juz khaslat-e-taqasir nahi
“ghalib” apna ye aqida hai baqaul-e-nasikh
aap be-behara hain jo motaqid-e-mir nahi.....

aap bevajah pareshan-si kyon hain madam
log kahate hain to phir thik hi kahate honge
mere ehabab ne tahazib na sikhi hogi
mere mahaul mein insan na rehte honge
nur-e-saramaya se hai ru-e-tamaddun ke jila
hum jahan hain vahan tahazib nahi pal sakati
mufalisi hiss-e-latafat ko mita deti hai
bhuk aadab ke sanche mein nahi dhal sakati
log kahate hain to logon pe t’ajjub kaisa
sach to kahate hain ki nadaron ke izzat kaisi
log kahate hain – magar aap abhi tak chup hain
aap bhi kahiye garibon mein sharafat kaisi
nek madam! bahut jald wo daur aayega
jab hamen zist ke adavar parakhane honge
apni zillat ke qasam, aap ke azamat ke qasam
hamako ta’zim ke mear parakhane honge
hum ne har daur mein tazalil sahi hai lekin
hum ne har daur ke chehare ko ziya bakhshi hai
hum ne har daur mein mehanat ke sitam jhele hain
hum ne har daur ke hathon ko hina bakhshi hai
lekin in talkh mubahis se bhala kya hasil
log kahate hain to phir thik hi kahate honge
mere ehabab ne tahazib na sikhi hogi
mere mahaul mein insan na rehte honge......

Wo Maire Pyar Ka Kis Qadar Mazak Ura Gaya
Ke Muje Muhabbat Krne Ki Saza Suna Gaya
Huma Ne Muhabbat Ka Agaz Us Se Hi Kiya Tha
Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa.....

Na Zindagi Mili Na Wafa Mili,
Najaane Har Khushi Humse Khafa Mili,
Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chhupaate Hain,
Sachi Mohabbat Karne Ki Bhi Kiya Khoob Saza Mili….....

Kaun Is Raah Se Guzartaa Hai
Dil Yuun Hii Intizaar Kartaa Hai
Dekh Kar Bhii Na Dekhne Vaale
Dil Tujhe Dekh Dekh Dartaa Hai
Shah’r-E-Gul Men Gayii Hai Saarii Raat
Dekhiye Din Kahaan Guzartaa Hai
Dhyaan Kii Siirhiyon Pe Picchle Pahar
Ko’ii Chupke Se Paanv Dhartaa Hai
Dil To Meraa Udaas Hai “Nasir”
Shah’r Kyuun Saaen Saaen Kartaa Hai.....

Chot taaza hay magar,
Zakham purany apny,
Kitnay mushkil hain yahan,
Dard chupany apny,
Jin ko hum yaad karein,
Hum unhein yaad nahi,
Kaisy hotey hein yahan log,
Na janay apnay,
Kitna chaha hay tujhy,
Ye to hum hi janty hein,
SSa-khuda,
Itny nahi thy kabhi,
Deewany apny,
Har jaga shor,
Meray ishq ki ruswai ka,
Kitny mash’hoor hain,
Chahat k fasany apny,
Ek teri yaad sy,
Daman ko bachaney ke liye,
Kitny badley hain yahan main ny,
Thikaanay apnay…......

December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,
Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,
Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana…......

Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…......

Kuch safr-e-zeest bhi lamba tha,
Kuch ham bhi thora sust chaly,
Kuch ham hi apny dushman thy,
Kuch dushman ham ko boht mily,
Kuch ham manzil ko bhool gay,
Kuch rasty ham ko sakht mily,
Aur aaj ye apni halat hai,
Har simt andhera chaya hai,
Har simt hai chaayi veerani,
Har simat isi ka saya hai,
Is dasht main ham ny kya khoya,
Is raah main ham ny kia paya,
Jab main ny is par ghor kia,
To man main soch ka dip jala,
Ik aag si dil main bharrak uthi,
Aur aankh main pani bharr aaya..........

Wo Maire Pyar Ka Kis Qadar Mazak Ura Gaya
Ke Muje Muhabbat Krne Ki Saza Suna Gaya
Huma Ne Muhabbat Ka Agaz Us Se Hi Kiya Tha
Or Wohi Is Ko Injam Tak Phocha Gayaa.....
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic
Love Poem Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic



No comments:

Post a Comment