Wednesday 4 December 2013

Urdu Poetry In Roman Urdu Romantic Poetry In Two Lines Images 2 Lines Sms Parveen Shakir For Him Pictures English Wallpapers Pic

Urdu Poetry In Roman Urdu Romantic Biography

Source:- Google.Com.Pk
"Hamaaraa Kyaa Hai Ke Ham To ChiraaG-E-Shab Kii Tarah
Agar Jale Bhii To Bas Itanii Raushanii Hogii"

"Ke Jaise Tund Andhero.N Kii Raah Me.N Juganuu
Zaraa Sii Der Ko Chamake Chamak Ke Kho Jaaye"

"Phir Is Ke Baad Kisii Ko Na Kuchh Sujhaa_ii De
Na Shab KaTe Na SuraaG-E-Sahar Dikhaa_ii De"

"Hamaaraa Kyaa Hai Ke Ham To Pas-E-Gubaar-E-Safar
Agar Chale Bhii To Bas Itanii Raah Tay Hogii"

"Ke Tez Havaao.N Kii Zard Maa_il Naqsh-E-Qadam
Zaraa Sii Der Ko Ubhare Ubhar Ke Mit Jaaye"

"Phir Us Ke Baad Na Raastaa Na Rah_guzar Mile
Hadd-E-Nigaah Talak Dasht-E-Bekinar Mile"

"Hamaarii Simt Na Dekho Ke Ko_ii Der Me.N Ham
Qabiilaa-E-Dil-O-Jaan Judaa Hone Vaale Hai.N"

"Base Basaaye Huye Shahar Apanii Aa.Nkho.N Ke
Misal-E-Khaanaa-E-Viiraan Uja.Dane Vaale Hai.N"

"Havaa Kaa Shor Ye Hii Hai To Dekhate Rahanaa
Hamaarii Umar Ke Kheme.N Ukha.Dane Vaale Hai........

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi
hai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koi
nazar nazar mein tajalli dikha raha hai koi
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koi
takhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vada
na aa raha hai koi aur na ja raha hai koi
ye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzar
ki ro raha hai koi muskura raha hai koi
“qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekha
kisi ke hath se daman chuda raha hai koi.......

Wo hamen jis qadar aazamate rahe
apni hi mushkilon ko badate rahe
wo akele mein bhi jo lagate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne par bhi dost aaye na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui nadiyan ban gain
aur tufan badsatur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye q der tak thar-tharate rahe
thin to kamanen hathon mein agyar ke
tir magar apanon ke janib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh garib aate jate rahe
maikade se nikal kar janab-e-’khumar’
qaba-o-dair mein khak udate rahe.......

Ye daur-e-masarrat te tevar tumharen
ubharne se pahale na duben sitaren
bhanvar se lado tund laharon se ulajho
kahan tak chaloge kinare-kinare
ajab cheez hai ye mohabbat ke bazi
jo hare wo jite, jo jite wo hare
siyah naginen banake dasati hain kirannon
kahan koi ye roz-e-rausahn guzri
safine vahan dub kar hi rahe hain
jahan hausale nakhudaon ne hare
kai inqalabat aaye jahan mein
magar aj tak na din na badle hamare
“raza” sail-e-nau ke khabar de rahe hain
ufaq ko ye choote huye tez dhare........

Ye chandani bhi jin ko choote hue darati hai
duniya unhin phoolon kopairon se masalati hai
shoharat ke bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis dal pe baithe ho wo toot bhi sakati hai
loban mein chingari jaise koi rakh de
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagati hai
aa jata hai khud khench kar dil sine se patari par
jab raat ke sarahad se ik rel guzarati hai
aansu kabhi palkon par ta der nahi rukate
ud jate hain ue panchi jab shakh lachakati hai
khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
bichde hue milate hain jab barf pighalati hai.......

Ye meri gazalen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hain
ye tazkiren teri lutf ke hain ye sher teri shikayaten hain
main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ke s’aten hain
jo zindagi ke naye safar mein tujhe kisi roz yaad aayen
to ek ek harf jee uthega pahan ke anfas ke qabayen
udas tanahaiyon ke lamhon mein nach uthengi ye apasarayen

mujhe teri dard ke alava bhi aur dukh the, ye janata hun
hazar gham the jo zindagi ke talash mein the, ye janata hun
mujhe khabar hai ki teri aanchal mein dard ke ret chanata hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai
ye zakhm gulzar ban gaye hain ye aahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye aag dil ke sada bani hai
aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghmay jo kal mere the wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judai mein kat gaye roz-o-shab tere hain
wo tera shayar tera muganni wo jis ke baten ajeeb si thi
wo jis ke andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
wo jis ke jine ke khvahishen bhi khud us ke apne nasib si thin
na puch us ka ki wo divana bahut dinon ka ujad chuka hai
wo kohakan to nahi tha lekin kadi chattanon se lad chuka hai
wo thak chuka hai aur us ka tesha usi ke sine mein gad chuka hai......

Hoti hai subha phir yeh raat ho jati hai
Chalo acha hai sitroon sae baat ho jati hai

Hal-e-dil kab tak suntaein rahein gaye hum in ko
Roz ki tarah roz, koi na koi nai bat ho jati hai

Ghum sunanein k liye bi ik aur chaiye humein
Kyun kar falaq sae bi aksar barsaat ho jati hai

Maaf na karein gaye hum unko ye to tahe hai
Un k liye phir bi hum sae aksar dua ho jati hai

Khuda to hi bana ab kisi ko amiee ka sathi warna
Hum sae to bar bar mohabbet ki khatta ho jati hai.....

Pal mein doori ho jati hai
Zaat adhoori ho jati hai

Aankhon mein nind aati nahin
Raat pori ho jati hai

Pehly to hoti hai chahat
Phir majboori ho jati hai

Kuch logon ki lamha bhar mein
Khwahish pori ho jati hai

Had se piyar guzr jaey to
Aksar doori ho jati hai......

Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate
Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate

Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin
Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate

Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin
Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate

Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat
Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate

Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro
Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate

Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot
Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate

Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR
Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate......

"Wo Humsafar Tha Magar Us Sey Hum Nawayi Na Thi
K Dhoop Cchao'on Ka Aalam Raha Judai Na Thi"

"Adawatein Thi, Taghaful Tha ,Ranjishen Thi,Magar
Bicharne Wale Main Sab Kuch Tha Be_Wafai Na Thi"

"Bicharte Waqt Un Aankhon Main Thi Hamari Ghazal
Ghazal Bhi Wo Jo Kabhi Kisi Ko Sunayi Na Thi"

"Kisay Pukaar Raha tha Wo Doobte Huey Din
Sada To Ayi Thi Lakin Koi Duhaayi Na Thi"

"Kabhi Ye Haal K Dono Main Yak-Dili Thi Mohsin
Kabhi Ye Marhala Jaise K Aashnayi Na Thi"....

"Hon gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha"

"Jesay howa hai ab k wo, halaat say mray
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha"

"Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia
Ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha"

"Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi
Pehlay se yonhi be-sar-o-samaan tu na tha"

"Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa Bohat
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha".....

No comments:

Post a Comment